Hazrat Imam Jaffer Sadiqr
Razi Allah Tala Anhu
Aap ki wiladat basaadat 8 Ramadaan al Mubarak 80 Hjri ko Madinah Tayyiba mein hui. Aap ka naam graami Jaffer , kuniat Abu Abdullah hai. Sadaq ke sabab aap ko Sadiqr kehte hain. Aap ke waalid ka naam Syedna Hazrat Muhammad Baqar Razi Allah Tala Anhu hai. Hazrat Imam al Zain al Aabdin Razi Allah Tala Anhu aap ke dada hain. Neez aap ko tabah tabaeen mein se honay ka sharf bhi haasil hai .
Aqabreen ummat Hazrat Imam Maalik o Hazrat Imam Abu Haneefa Razi Allah Tala Anhuma ne aap se ahadees riwayat kee hain. Aap ki walida mohtarma Sayeda umm frwa Razi Allah Tala Anha Hazrat Abubaker Siddiq Razi Allah Tala Anhu ki pooti bhi theen aur nawasi bhi. Is liye aap farmaya karte thay kay mujhe Hazrat Abu Baker Razi Allah Tala Anhu ki dohri aulaad honay ka sharf haasil hai. Aap ne farmaya hai kay neki teen awsaf ke baghair kaamil nahi hosakti :
1. To apni har neki ko mamooli samjhay .
2. Is ko chupaye .
3. Is mein jaldi kare .
Hazrat Imam Jafar Sadiq ka tareekhi Maqbrah jesay 1926 main shaheed kar dia gia
Aap ahal wa-aljamaat ke peshwa bilkhushoos tareeqa AliaNaqshbandia ke salaar peer e tareqat hain. Aap ki siyadat aur Imamat par sab ka ittafaq hai. Umro Bin abi Muqadam farmatay hain kay mein jis waqt Imam ko dikhtahon to mujhe maloom ho jatahe kay aap khandaan nabuwat se hain .
Imam Rabbani Hazrat Mujadad Alif Sani farmatay hain kay Hazrat Seddiq se nisbat seddiqui Hazrat salman ko pohanchi. Phir yehi nisbat bad mein Hazrat Imam Qasim ko pohanchi aur wahan se yeh nisbat Hazrat Imam ko haasil hui. Hazrat Imam Qasim Razi Allah Tala Anhu Hazrat Imam Jafar Sadiq ke nana they. Kyunkay Hazrat Imam Jafar Sadiq ne apne baap dada se bhi noor hasil kia tha aur wo sulooq e foqani se nasbat rkhta tha is liye jazb ki tehseel ke baad sulooq e foqani ke zariye manzil e maqsood puhanche aur donon nisbton ke jame hogaye. Phir ye nisbat Hazrat Imam Jafar Sadiq Razi Allah Tala Anhu se biltareeq amanat Sultan al Aarfin Hazrat Bayazeeg Bistami Razi Allah Tala Anhu ko rohani rasta se pohanchi jo kay Awaisi walyoon ka triqah hai .
Aap lataif e tafseer aur israr e tanzeel mein be nazir they. Jabke Imaam Abu Haneefa Ra, Imaam Malik Ra, Safyan Sori ,Htatim bin Ismaeel aur yahya ne aap se hadeesay riwayat ki hain. Hazrat Imam abbu Haneefa farmatay hain kay mein ne ahal baet mein Imam Jafer Sadiq Razi Allah Tala Anhu se barh kar kisi aur faqeeha nahi dekha .
Hazrat Imam Maalik rehmat allah alaihi farmatay hain kay mein Hazrat Imam jafar sadiq Razi Allah Tala Anhu ki khidmat mein haazir howa karta tha. Mein ne un ko hadees shareef bayan karte waqt kabhi be wazoo naihe dekha. Mein ne arsa daraaz tak un ki khidmat mein haazri deta raha magar jab bhi un ke qadmon mein pohancha tu un ko nimaaz perhate ya khamoosh baithy ya Quran Kareem ki tilawat karte paaya. Woh khilwat mein kabhi bhi fuzool o laghu kalaam nahi karte thay. Aloom shriah ke aalam baaml aur khuda taras thay .
Aap ki be shamaar karamaat hain lekin chand aik ka zikar kia jata hai taakay qaryin e karaam apne kasht imaan ko sar sabz o taza kar kay un ke naqsh qadam par chalein .
Aik rooz Hazrat Imam jafar Sadiq Razi Allah Tala Anhu Mecca Mukrmah ki aik gali se guzer rhe thay kay aik aurat ko bachon ke sath rotay dekha jin ke agay murda gaaye pari hui thi. Aap ne ronay ka sabab daryaft kia tu us aurat ne kaha kay hamaray paas sirf aik hi gaaye thi jis ke doodh se hamara guzara ho raha tha. Ab yeh mar gayi hai pareshan haal hain kay ab kya karin ge guzara kase hoga. Aap ne arshad farmaya kia tu ye chahti hai kay allah taala usay zindah kardey? Is ne kaha ke hum par tu musebat taari hai aur aap hum se mazaaq karte hain. Aap ne farmaya ke main mazaaq nahi karta phir aap ne dua farma kar gaaye ko thokar mari aur woh zindah hokar khari hogayi .
Abbasi khalifa Mansoor aap ki logon mein maqboliat se sakhet pareshan tha aur zaati anaad rakhta tha. Is ne apne wazeer ko hukam diya kay Hazrat Imam jafar sadiq ko bulai jai taakay inhen qatal kiya jaye. Wazir ne badshah ko samjhia ke aisay shakhs ko qatil karne ka koi faida nahi hoga jis shakhs ke shab o rooz zihd o abadat , gosha nasheeni aur mlki halaat se adam dilchaspi mein guzarte hon. Lekin khalifa Mansoor bazid raha aur Hazrat Imam Jafar Sadiq ko bulanay ka hukam diya. Khalifa Mansoor ne apne sipahiyon ko hukum dia juhi Hazrat Imam Jafar Sadiq Razi Allah Tala Anhu namoodar hoon aur mein topi utaaroon foran teh tegh kar dena .
Jab Hazrat Imam Jafar Sadiq Razi Allah Tala Anhu khalifa Mansoor ke darbar main tashreef laaye tu khalifa Mansoor asp ko dekhte hi aap ke istaqbaal ke liye agay barha aur asp ko adab o ihtram se apne takhat par bitha dia aur khud ejz o inksaar ke sath samnay baith gaya. Sipahi yeh manzar dekh kar haraan o parshan hogaye. Khalifa Mansoor dast badasta arz kya kay hzoor e wala agar kisi cheez ki zaroorat ho tu hukam farmaen. Hazrat Imam Jafar Sadiq Razi Allah Tala Anhu ne arshad farmaya ke ainda phir kabhi mujhe apne paas nah bulana. Yeh arshad farma kar asp tashreef le gaye aur khalifa Mansoor be hosh ho kar gir para aur musalsal teen rooz tak be hosh raha. Baaz riwayaat mein aaya he kay is ke teen namazain fot hogai .
Khalifa Masoor ko jab hosh aya tu Wazir ne poocha kya mamla tha jis par Khalifa Mansoor boola ke jab Hazrat Imam Jafar Sadiq Razi Allah Tala Anhu yahan jalva afrooz huya tu aik bohat bara azdaha aap ke hamrah tha jis ka aik jarah mahal ke neechay aur dosra mahal ke oper tha aur mujah keh raha tha ke agar tu ne Hazrat Imam Jafar Sadiq Razi Allah Tala Anhu ko zara bhi takleef pohanchai to mein tumhe is mehal samait nigal jaoon ga. Is wajah se mujh par be panah khauf taari ho gya aur main ne Hazrat Imam Jafar Sadiq Razi Allah Tala Anhu se kuch nah kaha balke uzar kya phir main be hosh ho gaya .
Aap ne farmaya panch qisam ke logon ki sohbat se ijtinab karne mein behtari hai .
1. Jhutay se ijtinab is ki sohbat fraib mein mubtla kar deti hai .
2. Be waqoof se ijtinab woh tumahray faiday se ziyada tumhe nuqsaan pohanchaye ga .
3. Kanjoos se ijtinab woh tumhara behtareen waqt zaya karega .
4. Buzdil se ijtinab karo kyunkay waqt parney tumhara saath chor de ga .
5. Fasik se ijtinab woh aik niwala ki tama mein kinara kash ho kar musibat mein mubtla kar deti hai .
Aap farmatay hain sahib karamat woh hai jo apni zaat ke liye nafs ki sar kashi se amaada ba jang rahay kyunkay nafs se jang karna Allah taala tak rasai ka sabib hota hai .
Aap farmatay hain kay momin ki tareef yeh hai kay nafs ki sar kashi ka muqabla karta rehe aur aarif ki tareef yeh hai kay apne mola ki itaat mein hama tan masroof rahay .
Aap ne 15 Rajab almrjb 148 Hjri ko Madinah Tayyiba mein 68 saal ki umar mubarak mein is darfani ko alvida kaha aur jannat al baqi mein quba ahal baiaq mubtla kar deti hai mubtla kar deti hai mubtla kar deti hai 8vt mein madfoon hue. Anaa lillah o anaa ilaihi rajiun .